Thursday, January 15, 2009

Swadesh

1- "Charanpur ke liye inme se kounsa rasta loo"
2- "Tum rasta bhatak gaye ho"
1- "Rasta bhatak gaya? nahi nahi main to bataye hue raste par hi ja raha tha, shayaad kahi koi mod galat le liya hoga"
2- "mod galat nahi hote, insaan galat hote hai
___________________________________

"Ek baat yaad rakhna, apne hi paani main pighal jana baraf ka muquaddar hota hai"
___________________________________

"Main jaanta hoon ki tum nahi chahti ki main jaoun, lekin Kaveriamma ke liye mujhe jana hoga. Ab dekho mere baare main jyada mat sochna.... I mean don't miss me too much"

"Main tumhare baare main sochungi, ye tumhe kisne kah diya"

"Tumhari aakhon ne... kah deti hai sab kuch"
___________________________________

"Mere aasuon ka swad Mohan babu mere mann ka namak hi samaj sakta hai"
___________________________________

"Ji haan main nahi maanta ki hanara desh duniya ka sabse mahan desh hai... par hum main kabiliyat hai usko mahan banane ki".... "Shayaad muhje kahana nahi chaiye par aap ne baat chedi hai to kah raha hoon... jab bhi hum muquable main dabne lagte hai to hum is ka sahara lete hai.... Sanskaar.... Parampara"
"America ne apne balbute par tarakki ki hai, aur unke apne sanskaar hai aur apni parampara hai ab ye kahana ki unke soch vichaar unka rahan sahan unki manyatayen kharab hai aur hamari mahan ye kahana galat hai..."
"Hum main se har koi, har roz kahin na kahin galion main, chouraho par kahata rahta hai ki is desh ka kuch nahi hone wala, ye desh barbadi ki aur bad raha hai... agar hum sab ye hi kahate rahe to ek din sach-much ye desh barbad ho jayega, aur iske liye aap sabhi ko kuch karna hai"
"Hum sab ek dusre ko dosh dete hai... jabki sacchai ye hai ki hum sab hi doshi hai... kyuki samasya hum khud hi hai"
"Main sire itna kahana chahta hoon ki ek julaha jisne kheti baadi karna chahi vo apne pariwar ko do waqt ki roti nahi de sakta vo apne bacchon ko shiksha nahi de sakta... bas unhe bhook se marta hua dekh sakta hai"
________________________________________

"Ye chokra kuch kar ke rahega" :)
________________________________________
Third Window- Illusion

3 comments:

Priyanka said...

This last part (last but one actually) in this post is the zest of whole movie. I simply love it. God!! I miss India.

anoop... said...

true... that is very close to my heart

The Clown of Lifeabad said...

My favourite movie. No words to describe what i feel when i see it each time. Seeing current cinema culture, cannot believe such movies did come once.