Wednesday, April 7, 2010

Another Poem from Dushyant Kumar

I have just finished with the last blog, and suddenly I saw this poem from him and couldn't resist to put it on the blog--

Is nadi ki dhaar me thandi hawa aati to hai,
naav jarjar hi sahi lahro se takrati to hai,

Ek chingaari kahi se dhoond laayo dosto,
Is diye me tel se bheegi huyi baati to hai,

Ek khandahar ke hriday si,ek jungli phool si,
Aadmi ki peer gungi hi sahi gaati to hai,

Ek chadar saanjh ne sare shehar par dal di,
Is andhere ki sadak us bhor tak jaati to hai,

Banjar maidan mein leti hui nadi,
Patharon ki ot mein ja ja ke batiyati to hai,

Dukh nahi koi ab uplabdhiyon ke naam par,
Kuch ho na ho aakash si chati to hai.

-By Dushyant Kumar

1 comment:

Mudita said...

Read this one after a long time.Btw, have you checked this out? www.kavitakosh.org.Its quite a collection!