Wednesday, September 24, 2008

Vo Jubaan kuch kah jati shayaad,
Vo ghadi u hi ruk jati shayaad,
De jati kuch nishan aage badne ke,
Zindagi u tham na jati shayaad...

Socha aage badhenge un raston par,
Jahan kuch nishan abhi bhi baaki hai,
Mann kuch bhi kahta ho ab,
Yaadon ki dastan abhi baaki hai...

Waqt shayaad tham sa gaya hai,
Un lamhon ko ji lene ke liye,
Ya phir shayaad kah raha hai,
In aasoon ko peene ke liye...

Is samandar ke kinare bhi dikhne lage the,
Is zameen par bhi badal barasne lage the,
Kya pata tha ki aakh u hi khul jayegi,
Aur zindagi u hi sach dikha jayegi,
Ya phir shayaad.... khud "Zindagi" se hi ruth jayegi

-anoop

P.S.- I am still looking for a name... suggestions are welcome!

1 comment:

Priyanka said...

Beautiful Thought..
Keep writing.. :)