Sunday, January 13, 2008

Talaash

This poem I wrote about an year back when I arrived here-

TALAASH

Anjaan raho par, kuch jaane-pachaane nishan dhundata hoon,
Ajnabion ki bheed main, kuch pachaane chahare dhundata hoon,
Ho jata hoon kabhi kabhi baichain, rahat ke do pal dhundata hoon.

Chaka-choundh hai chaaro aur, ek sukun ki jagah dhoondata hoon,
bheed hai charo aur, kuch doston ki kami hai,
... shayaad isliye hi, tanhai dhundata hoon.

Mahak raha hai jahan yaha par, apni mitti ki mahak dhundata hoon,
aage bada chal ja raha hoon, par gujre hue pal dhundata hoon,
maalum nahi jana kahan hai, har raaste par ek mukaam dhundata hoon,
kho na doon khud-ko kahi, isliye hi ek astitva dhundata hoon....

No comments: